"Sirat-e-Mustaqeem Par Shaitaan Jyaada Bahkaata Hai"
━Mahfum-e-Hadees - Ek Sahaabi Ka Inteqaal Hota Hai, Rasool'Allah [SallallahuAlaiheWasallam] Uss Inteqaal Me Jaate Hain, Aur Abhi Qabar Khud Rahi Thi
Ki Rasool'Allah [S.A.W] Uss Mitti Par Baith Jaate Hain, Aapke Haanth Me Ek Tehni Thi,
Aap Uss Tehni Ke Jariye Zameen Par[Uss Mitty Par] Kuchh BanaaneLage,
➤Sahaaba Gaor Se Dekhne Lage K Rasool'Allah [ SallallahuAlaiheWasallam ] Kya Krrahe Hain?
Sahaaba Ne Dekha K Aap [ S.A.W. ] Ne Ek Sidhi Lakeer Banaai Aur Daaein Aur Baaein Aur Chnd Lakeerein Banaai,...
Aur Kahaa K - Ye Sidhi Lakeer Jo Maine Banaai Hai Ye Mera Raasta Hai Yaani Sirat-e-Mustaqeem Hai,
Aur Daaein Aur Baaein Janib Jo Lakeer Banaai Hai Ye Lakeere Jahannum Me Jaati Hai Aur Iske Har Lakeer Par Ek Shaitaan Baitha Hai Jo Insaan Ko Sirat-e-Mustaqeem Se Behkaata Hai,
➤Sahaaba Ne Kahaa - Ya Rasool'Allah [S.A.W.] Ham To Ye Samajhte The K Islaam Qabool Kr Lene Ke Baad Banda-e-Momin Shaitaan K Behkaawe Se Azaad Aur Mahfooz Ho Jata Hai,
➤Ya Rasool'Allah[S.A.W.] Bahot Sangeen Muamla Hai Wajaahat Farmaiye !
❤━Fir Rasool'Allah[SallallahuAlaiheWasalam] Ne Tafseeli Bayaan K Liye Surah Anaam Ki Ayat 153 Ki Tilawat Farmaai -
❤━AL Quran: " Ye Sidhi Lakeer Mera Rasta (Sira-e-Mustaqeem) Hai To Aye Imaanwalo Iski Itteba Krna, Iske Alawa Kisi Ki Itteba Na Karna Warna Sidhi Raah Se Bhatak Jaoge"
━{Surah(6)An'am Ayat 153}[Musnade Ahmad, Nadaaii, Ibn Majah Daremi, Tafseer-e-ibnu Kaseer Vol#2 Page-256]
To Rasool'Allah[S.A.W.]Ne Wajaahat Krdi K Sirat-e-Mustaqeem Par Aane K Baad Shaitaan
Jyada Behkaata Hai, Jin Kaomo Ko Imaan Hi Nahi Mila Wo To Waese Hi Mulawwis Hain Gumraahi Me, Lekin Jinhe Imaan Ki Daulat Mili Unka Shaitaan K Jariye Gumraah Hona Jyada Mumkin Hai,
Lihaza Ham Sab Par Lazim Hai Ke Haq Ko Jaane,
Allah Aur Uske Rasool[S.A.W.] Ki Pairawi Karein, KitaaboSunnat Se Apni Aur Auron Ki Islaah Krte Rahein..............
Quraan Aur Hadees Ke Jariye, Sahib-e-Ilm K Jariye, Sahi Ilm-e-Deen Hasil Karein Taaki Har Kism Ki Gumraahi Se Khud Bhi Bach Sake Aur Auro Ko Bhi Bachane Ki Kosis Kare,
!!WaAkhiru Dawaana Anilhamdolillah-e-Rabbil A'lameen !!
Allah Ta'ala Hamein Tamam Kism Ke Shirk Aur Gumraahi Se Bachaae Aur Bachaane Ki Taufeeq Ata Farmaaye━
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें