सुक्रिया अदा करने का हुकुम और फ़ज़ीलत !-Shukriya Ada Karne Ka Huqm Aur Fazilat-

♥ Mahfum-e-Hadees:- Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya :–
Wo Allah Ka Shukrghuzar Nahi Ho Sakta Jo Bando Ka Shukrguzar Na Ho,
---(Sunan Abu Dwud, Vol 3, H-1383-Sahih)

Al-Quraan: Aur Jo Allah Ki Yaad Se Ghafil Ho Jata Hai
Tou Allah Uss Par Ek Shaitan Muqarrar Kar Deta Hai Phir Wo Uska Saathi Ban Jata Hai.
– (Surah Az-Zukhruf (43), Ayat-36)


Ek Aur Ayat Me Allah Ta’ala Farmata Hai:
Al-Quraan: Agar Tum Meri Neymaton Ka Shukriya Ada Karogey Tou
Aur Ziyada Dunga Aur Agar Nashukri Karogey Tou Mera Azaab Bhi Sakht Hai.
– (Surah Ibrahim, Chapter #14, Verse #7)


Dua : “Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika”
(Tarjuma : Ya Allah!, Meri Madad Kar Tera Zikr Karney Me, Aur Tera Shukr Ada Karney Me
Aur Teri Achchi Ibadat Karney Mein).
 (Sunan Abu Dawud, Vol 1, H-1509-Sahih)
Admin
Admin

. Welcome to my blog! I'm ISHTIYAQUE SUNDER, the owner and author. Here, I explore the wisdom of Hadith, delve into Islamic teachings, and bridge the gap between faith and science. Join me on this journey of knowledge, where tradition meets modernity, and spirituality aligns with scientific inquiry." if you like my article Share my article |Comment on my article | hit LIKE also | Thank you

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

You May Also Like

loading...