Musibate Akshar Hamaare Hi Aamal Se Aati Hain,



💬-Allah Rabul Izzat Mushrikon Ki Hatdharmi Bayaan Karte Huwe Quraan Me Farmaata Hai -💬

💚- Al-Quraan : " Aur jab Mushrikon se kahaa jaye ki Allah Ke utaare (HIDAYAT) par chalo to kahenge Hum to usi par chalenge jispar hamne apne baap-dada ko paaya, Agarche Unke  Baap-Dada 
Na Kuchh Aqal Rakhte Hon Na Hidayat"
💚-Surah(02)Bakrah: Ayat:170 ]

➤-Afsos Ki Baat Hai  Ke Aaj Hamara Bhi Muaamla Kuchh Aesa Hi Hai Ke -
- Ham BHi Apne Aadab-o-Azdaad Ke Tarikon Ko Kitaabon Sunnat Par Tarzee De Rahe
Hain.
- Hamse BHi Jab Koi Kitaabon Sunnat Ki Baat Karta Hai To Uska Mazaak raaya Jaata Hai,,
⃟⃟⃟⃞  - Allah Ke Liye Jab koi Quraano Hadeesh Ki Taraf Hamein Bulaaye To Baagaor Uski Baatein Suney,,,

💧- Warna La-ilmi Me Kahin Ham Uski Mukhaalifat me iss Hadd Tak Aage Na Badh Jaaye Jo Hamari Musibat-wa-Barbaadi Ka Baais Ho,,

-- Jiske Talluk Allah Rabbul-izzat Quraan me wajaahat farmaata hai ke-
💚- Al-Quraan : Aur Tum Par Jo Musibat Aati Hai Wo Tumhaare Hi Haantho Ke Kiye Huwe Kaamon Se Aati Hai
Jab Ke wo (Allah) Bahut se gunaahon ko Muaaf Bhi FarmaDeta Hai,,
💚- [ Surah(42)Ash-Shura" Aayat-30 ]

- To Bahar haal jab bhi koi Kitabo-Sunnat ki hamein daawat de To hamein chahiye ke uspe gaor karein,
Aur Taraf ke chasme utaar kar Mehaj haq ki taraf Ruzu karein,...

💚- InshaAllah-Ul-Azeez !!!!!
#Allah Hamein Haq Sunne  Samajhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq De.
#Hamein Kitaabon Sunnat Ka Muttabey Banaaye.
#Jab Tak Hamein Jinda Rakhe Islaam Aur Imaan Par Jinda Rakhe,
#Khaatma Hamaara Imaan Par Ho,
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!- WaAakhiru Dawaana Anilhamdulillahe RabbilAalameen-!!!!!!!!!!


Courtessy-Website- Ummat-e-nabi
Admin
Admin

. Welcome to my blog! I'm ISHTIYAQUE SUNDER, the owner and author. Here, I explore the wisdom of Hadith, delve into Islamic teachings, and bridge the gap between faith and science. Join me on this journey of knowledge, where tradition meets modernity, and spirituality aligns with scientific inquiry." if you like my article Share my article |Comment on my article | hit LIKE also | Thank you

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

You May Also Like

loading...