Hazrat Haaji Ali Shah Bukhari Rahmatullahi Alaihi



Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾...
Qutub-e-Zamaan, Shaah-e-samundar.

****************
Ek martaba aap ne ek aurat ko rote hue dekha. Aap ne rone ki wajah puchhi to us ne bataya ki ‘Main is bartan me tail lekar jaa rahi thi. Achanak thokar lagne se gir gai aur ab agar bagair tail ke ghar jaaungi to mera shohar naraaz hoga.’
Aap ko gareeb pareshaan aurat par raham aa gaya aur aap ne use us jagah bataane ko kaha jaha par tail gir gaya tha. Us jagah par pahunchkar aap ne zameen par apni zor se apni ungli rakhi to tail baahar nikal aaya aur us aurat ne apne bartan me tail bhar liya aur khush hokar apne ghar chali gai.

Is ke baad aap ne khwaab me dekha ki zameen keh rahi hai ki tum ne is tarah dabaakar mujhe taklif di hai.
Ye khwab baar baar dekhkar aap be-chain aur ranjeeda rehne lage.

Phir aap apni waalida ki ijaazat lekar apne bhai ke saath Bukhara chhodkar nikal gaye. Safar karte hue jab aap Hindustan me Mumbai pahunche to aap ne yahi qayaam karne ka faisla kiya aur apne bhai ko waapas bhej diya aur us ke saath apni waalida ko khat likhkar apna faisla bataaya aur un ki maafi maangi.

Phir aap kai saal tak wahi par rehkar ibaadate ilaahi aur isha’at e Islaam karte rahe aur logo ko taaleem dete rahe.

******************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾
(1) ALLĀH ta’ala se darte raho phir tumhe kisi cheez ka khuf nahi rahega.

(2) Zindagi ke din baadalo ki tarah guzar jaate hain. Lihaaza jab tak zindagi hai neki karte raho.

****************
Makka ki jaanib safar ke dauran aap ka wisaal hua.

Wisaal se pehle aap ne apne saathiyo ko wasiyat ki thi ke Mujhe kafan pehnakar mere jism ko ek sandook me rakhkar samundar me baha dena. Jaha par meri mayyat pahunchegi waha ke log mujhe dafn karenge.

Is tarah aap Hindustan ke samundar kinaare pahunche aur aap ko wahi par samundar ke bich me pahaadi par dafn kiya gaya.

*****************
Aap ka mazaar Mumbai ke Worli ilaake me samundar ke bich me hai.

834 Hijri (1431 A.D.) me Haji Usmaan Rangikar ne aap ki Dargaah aur Masjid ki taameer ki.

Aap ka Urs 16 Rabi’ us saani ko manaya jaata hai.

***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Haaji Ali Shah Bukhari rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Aulia Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.
Admin
Admin

. Hi i am Ishtiyaque Alam
From, INDIA, I love blogging, Design Web developing and writing, I like to learn and share technical skils to other, So please if you like my article Share Comment and hit LIKE | Thank you

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

You May Also Like

loading...