Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rahman Gunj-Muradabadi Rahmatullah




Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾...
Owais-e-Dauraan, Gaus-e-Zamaan, Qutub-ul-Waqt.
 ****************.
Aap ki wilaadat 1 Ramazaan 1208 Hijri (1794 A.D.) ko Subah saadiq ke waqt Mallawan (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Makhdoom Shaikh Ahllullāh bin Mulla Mohammad Faiyaaz aur waalida ka naam Basirat bibi binte Sayyed Rahmatullāh Shah hai.

Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ki naana Saadat hai.
 ****************.
Aap paidaishi wali the.
Ramazaan me paida hone ki wajah se paidaish se hi din ke waqt me doodh nahi peete the, sirf maghrib ke baad raat ke waqt doodh peete.

Bachpan me aap khelna pasand nahi karte the. Dusre bache puchhte to aap kehte ‘ALLĀH ne mujhe khelne ke liye dunya me nahi bheja hai.’

Ek baar Hazrat Ghulaam Ali Dehlwi Sahab rahmatullahi alaihi ne aap ko dekhkar masarrat ke saath farmaya ki ‘Ye wo Noor hai jo mashriq se maghrib tak ko roshan kar dega.’

Jab 2 saal 6 maah ke hue tab Kalma padhna shuru kiya.

3 saal 6 maah ki umr me aap ne ek baar Hazrat Maulwi Haidar Ali Shah rahmatullāhi alaihi se puchha ‘Aap aksar gardan jhukakar kya karte hain?’ Unho ne farmaya ‘Beta, Main Zikr e Ilaahi kiya karta hu.’ Aap ne arz kiya ‘Main bhi Zikr e Ilaahi karna chahta hu. Aap mujhe bhi sikha den.’ Hazrat ne aap ko Zikr e Ilaahi ki taalim dena shuru kiya. Chand mahine me aap Zikr e Ilaahi sikh gaye.

Aap ki 9 saal ki umr me aap ke waalid ka inteqaal hua. Is ke baad aap ki waalida ne aap ki parwarish ki.
Aap ki waalida mushkil haalat me bhi kisi rishtedaar ki madad nahi maangti thi, sirf ALLĀH ta’ala se madad ke liye dua karti thi.
 ****************.
Aap ne Bahr-ul-uloom Maulana Mohammad Noor saahab Firangi-mahali se dars e nizaami aur dusre uloom ki taalim haasil ki.

Hazrat Maulwi Haidar Ali Shah rahmatullāhi alaihi ke mashware par 1221 Hijri (1806 A.D.) me aap Delhi jaakar Hazrat Khwaja Muhammad Aafaaq Shah rahmatullahi alaihi ke mureed hue.

Jab aap Delhi tashreef laaye tab Khwaja Muhammad Aafaaq Shah ne pehle se hi apne mureedo ko aap ke istaqabaal ke liye bhej diya. Jab aap Khwaja ki baargaah me tashreef laaye to Khwaja ne aap ko seene se lagaaya aur farmaya ki ‘Ek roz tum dunya me sooraj ki tarah chamkoge.’
Bai’at karne ke baad apne saath apne ghar le gaye aur apni saahabzaadi aur daamad Hazrat Maulana Shah Abdul Gani rahmatullāhi alaihi se farmaya ‘ALLĀH ne khaas karam se inhe hume ata farmaya hai. In ka hume bahot intazaar tha. Tamaam aalam in ke darya e faiz wa rahmat se sairaab hoga.’
 ****************.
Is ke baad aap ne Peer ki ijaazat lekar Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddees Dehlwi rahmatullahi alaihi se Usool-e-Hadees sikhna shuru kiya.
Pehle din Hazrat ne aap ko aam talba ki tarah rakha. Aap raat ko bhuke pait hi so gaye. Raat me Hazrat ko ALLĀH jaane kya bashaarat hui ke dusre din aap ko bulakar mohabbat ke saath farmaya ‘Aaj se tum roz raat ko mere saath khaana khaaoge.’ Aur aap ko raat ko Isha’ ke baad waqte tahajjud tak Hadees ki taalim dena shuru kiya. Is me sirf Hazrat ke daamaad Sayyed Zahir-ud-deed Shaheed ko hi shareek hone ki ijaazat thi.
Ek baar Sayyed Zahir-ud-deed Shaheed ne Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddees Dehlwi se raat ko Isha’ ke baad waqte tahajjud tak ka taalim ka muqarrar waqt badalne ke liye arz kiya. Hazrat ne farmaya ke ‘Fazl-e-Rehmaan ko alaahida padhaane ka raaz ye hai ki wo tawajjohaate Risaalat se padhte hain aur un ko bafaiz Mustuafa sallallahu alaihi wa sallam uloom ata ho rahe hain. Chunanche main chahta hu ke tum roz is me shirkat karke faiz haasil karo.’
 

***************.br /> Phir kuchh arse tak apne Peer ki baargah me rehkar faiz haasil kiya.

Phir 1242 Hijri (1826 A.D.) me apne Peer ke farmaan par Ganj-muradabad tashreef laaye.
Aur puri zindagi khidmat e deen karte rahe.

Aap hamesha har baat me saadgi apnate.
Hamesha haajatmando ko madad karte.
Zyada waqt ibaadat wa riyaazat me guzarte.
Aap hamesha Sunnate Rasool par amal karte the.
Aap farmate the ke ‘Sunnat e Rasool se hi Gausiyat aur Qutubiyat hai. Jo Sunnat par amal na kare wo kabhi wali ho nahi sakta.’
 ****************.
Ek bar aap apni zauja ke saath baithe hue the. Ek peer-zaada kamre ke andar tashreef laaye aur aate hi behosh ho gaye. Hosh aane ke baad Hazrat ne puchha ‘Are bhai be-hosh kyun ho gaye?’ Us peer-zaade ne kaha ‘Main jab andar aaya to aap ke saath Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ko tashreef farma dekhe. Un ka jamaal dekhkar main be-hosh ho gaya.’ Aap ne muskurakar farmaya ‘Bas ek hi jhalak me yeh haal hai?’

Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ne tashreef laakar aap se 2 rak’at namaaz ada karne ke liye farmaya. Aur aap ne Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ke saath 2 rak’at namaaz ada ki.
Aap us maqaam (musalle) par kabhi baithte nahi aur kisi ko baithne bhi nahi dete.
Haal me us maqaam par aap ka mazaar Mubarak hai.

Isi tarah aap ko Hazrat Ali al-Murtaza aur Sayyeda Faatima Zehara radi-Allāhu ta’ala anhu ki bhi ziyarat hua karti thi.
 ****************.
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾
 "ALLĀH ta’ala ne aap ko jaanwaro par hukoomat ata farmai thi. Jaanwar bhi aap ka hukm maante the.

Bachpan me aap ne kabootar pale the. Ek baar billi ek kabootar ko lekar bhaagne wali thi. Aap ne billi se kaha ‘Chhod de.’ Foran billi ne kabootar ko chhod deya.

Ek bar ek bhediya ek chhote bache ko uthakar bhaag raha tha. Log bache ko bachane ke liye us bhediye ke pichhe bhaage. Jab wo bhediya Hazrat ke saamne se guzra to aap ne us bhediye ko ghoorkar dekha. Foran wo bhediya bache ko wahi chhodkar bhaag gaya. Us waqt Hazrat ki umar 5 saal se kam thi.

Ek baar log bahot zid karke Hazrat ko apne saath shikaar par le gaye. Bahut der tak mehnat karne ke baad bhi logo ke haath koi shikaar na laga. Phir bahot door logo ko hiran ka tola aate hua dikha. Logo ne Hazrat ko nishaana lagaane ke liye kaha. Aap ne nishaana nahi lagaya magar hirano se mukhaatib hokar buland aawaaz se farmaya ki ‘Tum me se ek hiran mere pass aa jaaye aur baaqi waapas chale jaao.’ Ye sunte hi ek hiran daudkar chala aaya. Log khush ho gaye aur hiran ko zinda hi ghar le jaane ki tayyari karne lage. Hazrat ne logo se farmaya ke ‘Aaj hiran ne yahan aakar tum logo ka dil rakh liya. Ab tum log is hiran ko aazad kar do.’ Hazrat ki yeh baat sunkar logo ne hiran ko chhod diya.

Aap ALLĀH ta’ala ke fazl se sirf dua karke sab ko shifa ata farmate. Aap ne Bahot saare mareezo ki shadeed beemariyo ko sirf paani dekar door kiya hai.
 ****************
Aap ki 3 biwiya aur 4 bete aur 1 beti hain.
Saahabzade :
(1) Shah Abdur Rahmaan;
(2) Shah Abdur Raheem;
(3) Shah Ahmad Miyan;
(4) Sayyed Mohammad Urfe Saidu Baaba (Jo paidaishi mazdoob the).

Saahabzadi :
Shafkat Bibi.
 *****************.
Aap Hazrat Khwaja Muhammad Aafaaq Shah rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se ‘Naqshbandi Rahmaani’ silsila jaari hai.

Aap ke khalifa Hazrat Maulana Shaah Ahmad Miyan Sahab Gunj-muradabadi rahmatullahi alaihi hain.

****
Aap ka wisaal 21 Rabi’ ul awwal 1313 Hijri ko Jum’aa ke din hua.

Aap ka mazaar Gunjmuradabad (Uttar Pradesh) me hai.

*******
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Fazl-e-Rahmaan Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.
Admin
Admin

. Hi i am Ishtiyaque Alam
From, INDIA, I love blogging, Design Web developing and writing, I like to learn and share technical skils to other, So please if you like my article Share Comment and hit LIKE | Thank you

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

You May Also Like

loading...