Aa'la Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Rahmatullahi alaihi


 Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾...
Aa’la Hazrat, Mujaddeed e deen o millat, Imaam e Ahle sunnat, Azeem ul barkat, Faazil-e-Bareilvi.

**********
Aap ki wilaadat 10 Shawwal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) ko Bareilly shareef (U.P.) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Naqi Ali Khan ibn Raza Ali Khan rahmatullahi alaihi hai.

**********
Aap bachpan se hi bade zaheen the.
Aap ne 4 baras ki umr me Qur’an majeed mukammal kiya.
Aap ne apne waalid se ‘Darse Nizaami’ ki taalim mukammal ki.
Aap ne Mirza Ghulam Qaadir Baig rahmatullahi alaihi se ‘Meezan e Munsha’ab’ ki taaleem haasil ki.

Aap ne Hazrat Maulana Abdul Ali Rampuri, Hazrat Allama Shah Aal e Rasul Marehrawi, Shaikh-e-Kabeer Hazrat Allama Sayyed Shah Abul Husain Ahmad-e-Noori, Shaikh Ahmad bin Zain-e-Dahlaan Makki, Shaikh Abdur Rahman Makki aur Shaikh Husain bin Saalih Makki se bhi taaleem haasil ki.

Aap ne 6 baras ki umr me Rabi’-ul-Awwal me Milaad e Rasool ke unwaan par shaandar taqreer farmai.
8 baras ki umr me arabi zabaan me 1 kitaab likhi.
14 Sha’aban 1286 Hijri ko 13 baras 10 maah ki umr me pehla Fatwa likha aur Dastaare Fazeelat ata ki gai.

**********
Bachpan me aap ne Maahe Ramazaan me roza rakha. Bahut garmi hone ki wajah se aur aap par abhi roza farz nahi tha is liye aap ke waalid aap ko ek kamre ke andar le gaye aur kamra band karke mithai di aur kaha ‘Ise kha lo’. Aap ne kaha ‘Maine roza rakha hai.’ Aap ke waalid ne kaha ‘Darwaza band hai, Koi nahi dekhega. Tum kha lo. Tum abhi bache ho.’ Aap ne kaha ‘Bhale koi na dekh raha ho. Magar mera rab jis ke liye maine roza rakha hai wo to dekh raha hai.’

**********
1291 Hijri (1874 A.D.) me 18 baras ki umr me aap ka nikah Sayyeda Irshaad Begam bint Shaikh Fazle Husain se hua.
Aap ke 2 bete aur 5 betiya hain.
2 Saahabzade - Haamid Raza Khan (Hujjat-ul-Islaam) aur Mustafa Raza Khan (Huzoor Mufti e Aazam e Hind).

**********
1294 Hijri (1877 A.D.) me Hazrat Maulana Abdul Qaadir Badayuni rahmatullahi alaihi Bareilly Shareef aaye aur aap un ki daawat se un ke saath Marehra shareef gaye. Jab waha pahunche to aap ne farmaya ‘Mujhe mere peer ki khushbu aa rahi hai.’ Jab aap Khaanqaah-e-Barkaati me pahunche to Hazrat Sayyedina Shah Aal e Rasool Barkaati Marherawi rahmatullahi alaihi ne aap ko dekhkar farmaya ‘Aao. Main kab se tumhara intazaar kar raha tha.’
Aap bai’at karke Hazrat ke mureed ho gaye.

Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Barkaati rahmatullahi alaihi ne aap se farmaya ke ‘Yaha mureed hokar khilaafat haasil karne ke liye aane walo ko pehle mujaahida karna padta hai. Jab wo us darje par pahunch jaata hai tab hi use khilaafat aur ijazat milti hai.’
To Sayyedina Shah Aale Rasool rahmatullahi alaihi ne foran kaha ke ‘ Aye logo, Ahmad Raza pehle hi se ALLAH ta’ala ki taraf se sanwaar karke bheja gaya hai. Sirf use silsile se jodna tha. Qayamat jab me main Rab ta’ala ke saamne khada rahunga aur mujhe puchhega ki Tum apne saath kya laaye ho to main kahunga ki Aye mere Rab tera ata kiya hua Ahmad Raza lekar aaya hu.’

**********
Aap ne 2 baar Hajj ada kiye :
1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid ke saath,
Aur 1323 Hijri (1906 A.D.) me apne bhai Maulana Hasan Raza Khan aur bete Haamid Raza Khan aur Mustafa Raza Khan ke saath.

**********
Aap ko sunnato hadees par mukammal yaqeen tha aur har amal sunnato hadees ke mutabik hi karte the.

Aap farmate hain ke ‘Wali ki asl karaamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai.’

(1) Ek baar ye afwah faili ke Bareilly Shareef me Taoon (Plague) faila hai. Ittefaak se Aa’la Hazrat ko masoodo me soojan ho gaya aur dard itna shadeed tha ke aap ka munh bhi khul nahi pata tha aur tez bukhar bhi tha. Jab doctor ko bulaya gaya to us ne jaanch karne ka baad kaha ke ‘Aap ko Plague hone ka andesha hai.’ To aap ne kaha ke ‘Ye mumkin nahi hai. Kyun ke Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne ek dua batai hai au farmaya hai ke jab koi badi beemari failne ki khabar suno to is dua ko padh lena. In sha Allah hifaazat ho jaayegi. Aur maine is masnoon dua ko padh liya hai.’
Phir aap ne farmaya ‘Aye ALLAH, Tere Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke farmaan ko sahi saabit kar de.’
Itne aap ne gaib se ek aawaz suni ke miswaak aur kaali mirch istemaal karo.
Aap ne taklif bardasht karte hue bhi miswaak kiya aur apne munh me kaali mirch ke daane rakhe. Aisa karne se ALLAH ke karam se aap ki taklif kam hone lagi aur aap me phir se taaqat aane lagi.
Aur is tarah us doctor ko maanna pada ke us ki tashkees (diagnosis) galat thi.

(2) Aap 1295 Hijri (1878 A.D.) me aap ke waalid ke saath hajj ke liye gaye. Hajj ke safar me jahaaz se waapas aate waqt samundar me toofan shuru ho gaya. Jahaaz ke kaptan ne aakar kaha ke ‘Toofan itna tez hai ke shaayad ham nahi bach sakte.’
Ye sunkar aap ke walid ne kaha ke ‘Aye mere bete, Mujhe mujh se zyada tumhari fikr hai.’
Aap ne farmaya ke ‘Hame kuchh nahi ho sakta kyun ke maine jahaaz par sawaar hote hi bahri Sawaari (Safar) ki masnoon dua padh li thi aur mujhe yaqeen hai ke mere Aaqa sallallahu alaihi wa sallam ka farman hamesha sahi hota hai. Is liye hamare jahaaz ko kuchh bhi nahi hoga.’
Thodi der me toofan rook gaya aur kaptan ne aakar kaha ke ‘Ab hamare jahaaz ko koi khatra nahi hai.’

**********
Aap ne apne har amal se Huzoore akram Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam aur Aale rasool ke mukammal ishq ka saboot diya.

(1) Ek baar aap doli me bethkar Bareilly Shareef ke bazaar se guzar rahe the. Aap ne doli uthane walo ko doli rokne ke liye kaha aur puchha ‘Tum me se saadat kaun hai?’ Kisi ne jawaab nahi diya. Aap ne phir se ilteja karte hua ke ‘Meharbani karke bata do ke aap me kaun saadat hai. Mujhe aale rasool ki khushboo aa rahi hai.’
Tab ek hazrat ne kaha ‘Main aale rasool hu. Gareebi aur majboori ki wajah se main doli uthane ka kaam kar raha hu.’
Aap ne foran haath chumkar kaha ke ‘Mujhe muaf kar dena.’
Phir aap ne us sayyedzade ko doli me bithaya aur khud unki jagah par doli uthakar chalne lage.

(2) Ek baar ek saadat aap ke paas aaye. Aap ne dekha ke unke haath me sone ki angoothi thi. Jab wo ja rahe the to aap ne un se kaha ke ‘Agar aap theek samajhe to ye angoothi kuchh dino ke liye mujhe rakhne ke liye den. Main ise behtar karke dunga.’
Us saadat ne aap ko wo angoothi de di. Aap ne kuchh sona milakar us me se chudiya banakar us hazrat ko bulakar di aur faramaya ke ‘Ye aap ki biwi ke liye hai.’
Unko saari baat samajh me aa gai.

***********
Karamaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar aap Rail se Pilibhit se Bareily ja rahe the. Raaste me Nawabganj station par train 1-2 minute ke liye ruki. Maghrib ka waqt ho chuka tha. Aap apne saathiyon ke saath Namaaz ke liye platform par utre. Saathi pareshan the ki train chali jaayegi to kya hoga. Lekin aap ne itminan se Azaan dilwa kar ba-jama’at namaaz shuru kar di.
Udhar Driver train ka engine chalu karta hai lekin train nahi chalti. Engine uchalta aur phir patri par girta hai. T .T, Station Master, wagairah sab log jama ho gaye. Driver ne bataya ki engine me koi kharaabi nahi hai.
Achanak ek Pandit chikh utha ‘Wo dekho koi darwesh Namaaz padh raha hai, shayad train isi wajah se nahi chalti?’ Ye sunkar log Aa’la Hazrat ke ird gird jama ho gaya.
Aap itminaan se namaaz mukammal karke jaise hi apne saathiyo ke saath Rail me sawaar hue to Rail chalu ho gai aur aage badhi.

(2) Bareilly Shareef me ek shakhs Auliya, Peero Murshid aur bai’at me nahi maanta tha. Us ka ek dost Aa’la Hazrat se milne ke liye ja raha tha. Us ne us shakhs se kaha ke ‘Tum mere saath Aa’la Hazrat se milne chalo aur waha un se is baare me mobahisa kar lena. Wo ye baat kar raha tha ke us shakhs ne ek dukan me taazi mithai dekhi. Us ne kaha ke ‘Pehle ye mithai lete hain, Phir main tumhare saath chalta hu.’ Us ne kaha ke Aa’la Hazrat milne ke baad waapas aate waqt raaste me yaha se mithai le lenge. Bahut samjhane par wo maana.
Aur dono Aa’la Hazrat ki baargah me gaye. Dono waha baithe the, itne me ek mureed kuchh mithai lekar aaya aur waha haazir sab ko taqseem karne ke liye kaha.
Aa’la Hazrat ke darbar me ye tareeqa tha ke jin ki daadhi hoti un ko do hisse diye jaate aur bagair daadhi wale ko ek hissa diya jaata kyun ki wo bache jaise lagte hain.
Is liye jo mureed taqseem karne ke liye khada hua wo isi tarah sab ko de raha tha.

Jab us shakhs ki baari aai to wo mureed use ek hissa de raha tha. Tab Aa’la Hazrat ne use do hisse dene ke liye kaha. To us mureed ne kaha ‘Hazrat, Is ki daadhi nahi hai.’
Aa’la Hazrat ne farmaya ‘Us ko do hisse khane ki khwaahish hai.’
Us shakhs ne jab ye suna to use pata chal gaya ke Aa’la Hazrat ko us ke dil ki khwaahish bhi khabar ho gai hai. Wo sharminda hua aur Aa’la Hazrat ka mureed ho gaya.

(3) Ek baar ek shakhs ko koi aisi badi beemari ho gai ke kisi bhi tarah theek nahi ho raha tha. Wo door ilaake me kisi achhe doctor ka ilaj karane ke liye soch raha tha. Kisi ne use pehle Aa’la Hazrat se milkar baat karne ke liye mashwara diya.
Jab wo Bareilly Shareef pahunchkar Aa’la Hazrat ko talash karta hua masjid me pahuncha. Aa’la Hazrat wuzu ke liye ja rahe the. Use dekhkar aap ne farmaya ‘Tum tumhari beemari ke liye aaye ho to us ka ilaaj is tarah karo. In sha Allah tumhe shifa mil jaayegi.’

**********
Ek baar kisi ne khat me aap ke naam ke saath ‘Haafiz’ likh diya. Aap ne jab padha to socha ke main haafiz e Qur’an nahi hu. Is liye mujhe haafiz kehna sahi nahi. Magar main jald hi haafiz e Qur’an ban jaaunga.
Phir mahe Ramazaan me isha’ ke waqt me azaan aur namaaz ke dauran Hazrat Allama Mufti Amjad Ali rahmatullahi alaihi aap ko Qur’an majeed ka ek paara padhkar sunate aur aap us ko namaaz e taraaweeh me Qir’at me padhte. Aur is tarah Ramazaan ke khatm hone tak aap Haafiz e Qur’an ho gaye.

**********
Log agar kisi mas’ale ke liye talaash karte to Aa’la Hazrat bagair kitaab dekhe safa number ke saath us ka jawaab dete.

Aap din ko suraj dekhkar aur raat me sitaare dekhkar ghadi me waqt mila lete aur 1 minute ka bhi farq na hota.

**********
Aap Imaam e Ahle sunnat aur 14wi sadi ke Mujaddeed e Islaam hain.

1317 Hijri (1900 A.D.) me Patna me Ahle Sunnat wal Jama’at ke ijtema ke dauran Maulana Abdul Muqtadir Badayuni rahmatullahi alaihi ne Aala Hazrat ko ‘Mujaddeed’ kehkar khitaab kiya.
Is ke ilaawa Shaikh Ismaa’eil bin Khaleel aur Shaikh Moosa Ali Shaami rahmatullahi alaihi aur dusre arab wa ajam ke ulema ne aap ko Mujaddeed kaha hai.

**********
Aap ne apni kitaabo aur bayaano me bahut si buri bid’ato ko radd kiya hai.

(1) Mazaar (ya Qabr) ko Sajda, Rooku’ ya Tawaaf karna.
(2) Aurto ka mazaarat par jaana.
(3) Maushiqi aur saaz (Music) wali Qawwali.
(4) Mazaar par ya Majlis ya Juloos me nachna, gana-bajana.
(5) Taaziyadaari.

**********
Jab Mirza Ghulam Ahmad Qadiani ne Imaam Mahdi hone ka aur phir Nabi hone ka daawa kiya tab Aap ne 1905 me Hajj ke liye gaye to ‘Al Motamad Al Mustanad’ naam se ek tahreeri saboot (Document) tayyar karke Makka aur Madeena ke ulema ko paish kiya aur phir Hejaz ke 33 ulema ki raay aur faisla jama karke Arabi me ‘Husam al-Harmain’ naam ki kitaab tayyar ki jis me Mirza Ghulam Ahmad Qadiani ke kaafir hone ke saboot diye gaye hain.

**********
Aap ne Wahabi aur Deobandi ke Ashraful Ambiya Khairul bashar RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki gustakhi bhare bad-aqeedo ko radd karte hue saboot paish kiya.

(1) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam Insaan-e-kaamil hone ke saath noor bhi hain.
(2) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam ko ALLAH ta’ala ne Mukhtaare kul banaya hai.
(3) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam Haazir wa naazir hain.
(4) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam ko ALLAH ta’ala ne Ilme gaib ata kiya hai.
(5) ALLAH ta’ala ne apne Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisaal ke baad bhi Aalame baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai.
(6) ALLAH ta’ala ke muqarrab bande ya’ni Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle bait aur Saleheen ka waseela lena jaaiz hai.

1323 Hijri (1906 A.D.) me jab aap dusri baar Hajj ke liye gaye the to Makka me sirf 8 ghante me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke Ilme gaib ke saboot par ‘Addaulatul Makkiyah’ naam ki kitaab likhi. Jise padhkar arab ke aalimo ne aap ko Imaam maana.

**********
Tehreek e Khilaafat ke dauran Mohandas Gandhi ko kisi ne Ahmad Raza Khan se milne ka mashwara diya. Jab aap ko bataya gaya ke Gandhi aap se milna chahte hain to aap ne farmaya ke ‘Wo kis baare me guftagoo karna chahte hain? Deeni ya Dunyawi? Agar dunyawi muamale me guftagoo karna chahte hain to main un se nahi mil sakta. Mujhe dunyawi baato me dilchashpi nahi hai.’

***********
1330 Hijri (1912 A.D.) me Aap ne ‘Kanz-ul -Eimaan fi Tarjuma al-Qur’an’ naam se Qur’an majeed ka Urdu tarjuma kiya hai.

Aap ne bahut saari mahshoor Hamd e baari ta’ala, Na’at e Mustafa, Manqabat aur Munajaat likhi hain.

Aap ne 55 se ziyada uloom par taqreeban 1000 kitaaben likhi hain.
Un me se kuchh mashhoor kitaaben :

(1) Fataawa Razawiya (12 Jild)
(2) Ahkaam e Shariat
(3) Husam-ul-Harmain
(4) Fataawa Harmain
(5) Addaulat-ul-Makkiya
(6) Al Fuyuzaatul Makkiya
(7) Azzubdat-uz-Zakiyya
(8) Al Ijaazat-ul Mateena
(9) Kifl-ul Faqih.

***********
Aap ke shaagirdo me aap ke 2 bete Hujjat-ul-Islaam Haamid Raza Khan aur Huzoor Mufti e Aazam e Hind Mustafa Raza Khan ke ilaawa Sadr-ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-ul-Afaazil Maulana Naeem-ud-deen Muradabadi, Muhaddeese aazam-e- Hind Sayyed Muhammad Kachauchhawi, Malik al-Ulema Zafar-ud-deen Bihari, Qutb-e-Madeena Ziya-ud-deen Ahmad al-Madani mashhoor hain.

***********
Aap Hazrat Sayyed Shah Aale Rasool Marherawi Qadri rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se Tareeqat ka Silsila e Razawiya jaari hai.

Aap ke khalifa :
(1) Hazrat Hujjat-ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan
(2) Hazrat Mufti-e-aazam-e-Hind Maulana Mustafa Raza Khan
(3) Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Maulana Mufti Amjad Ali Aazami
(4) Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Maulana Naeem-ud-deen Muraadabadi
(5) Hazrat Allama Maulana Abdus Salaam Jabalpuri
(6) Hazrat Malik-ul-Ulema Allama Maulana Sayyed Zafar-ud-deen Bihaari
(7) Hazrat Mubbalig-e-aazam Allama Maulana Abdul Aleem Siddeequi Meerthi
(8) Hazrat Qutb-ul-Madeenat-ul-Munawwara Allama Shaikh Zia-ud-deen Ahmad al-Madani
(9) Hazrat Burhaan-e-Millat Allama Burhaan-ul-Haq Jabalpuri
(10) Hazrat Allama Maulana Mukhtar Ahmad Siddeeqi Meerathi
(11) Hazrat Shaikh Muhammad Abdul Hayy
(12) Hazrat Shaikh Ahmad Khaleel
(13) Hazrat Shaikh Ahmad Khudravi
(14) Hazrat Shaikh Muhammad bin Abi Bakr
(15) Hazrat Shaikh Muhammad Sa’eed
(16) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Ashraf
(17) Hazrat Maulana Shaah Sulaiman Ashraf.

***********
Aap ke wisaal ke kuchh waqt pehle Shaam (Syria) ke kisi wali ne Baitul Muqaddas me khwaab me dekha ke Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ki mehfil me aap ke aas-paas kuchh ashaba baithe hai jaise wo kisi ka intazaar kar rahe the.
Unho ne puchha ‘Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam, Aap kis ka intazaar kar rahe hain?
Aap ne farmaya ke ‘Ahmad Raza Khan.’
Unho ne puchha ‘Ahmad Raza Khan kaun hain?’
Aap ne farmaya ke ‘Hindustan ke Bareilly ka ek aalim.’

Jab un ki aankh khuli to foran Syria se Bareilly aane ke liye nikal pade. Lekin jab wo waha pahunche to pata chala ke Imaam Ahmad Raza Khan ka inteqaal ho chuka tha.

***********
Aap ne wisaal se pehle wasiyat ki thi ke meri namaaze janaza Maulana Haamid Raza Khan ya Allama Amjad Ali Aazami padhayen aur mere janaza ko ‘Ka’abe ke Badr ud Duja’ padhte hue le jaayen aur meri qabr ko itni gehri banana jitni meri unchaai hai.

Apne wisaal ke 42 minute pehle aap ne farmaya ‘Mere kamre se paisa, lifaafa, card wagairah hata do kyun ki us par tasweer bani hoti hai.’

***********
Aap ka wisaal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 A.D.) ko azaan e Jum’aa ke dauran 65 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar pradesh) me hai.

***********
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Aa’la Hazrat Imaam e Ahle sunnat Ahmad Raza Khan rahmatullahi alaihi aur Tamaam Auliya Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.
Admin
Admin

. Hi i am Ishtiyaque Alam
From, INDIA, I love blogging, Design Web developing and writing, I like to learn and share technical skils to other, So please if you like my article Share Comment and hit LIKE | Thank you

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

You May Also Like

loading...