☆-Quran padhne Wale Nek Farishto ke Sath Honge
☆-Mahfum-e-Hadees- Hazrate Aisha (Razi’Allahu Anha) se riwayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:
☆-Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho, to wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain
aur Jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai tou usko Dohra (double) Ajar milega.– (Jami’at Tirmidhi, Jild 2, Hadees No. 813)
Subhan’Allah! Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik De-:
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें