अक्सर दुआ कबुल क्यों नहीं होती?

अक्सर दुआ कबुल क्यों नहीं होती?
☆ 10 Cheezon Se Murda Hone Se Dua Kabool Nahi Hoti ♥
☆»Hiqayat – Hazrate Shafiq Balkhi (R.A.)Farmate Hain Ki –
☆☆-Ek Roz Hazrat Ibrahim Bin Adham(Rehmatullah Alaihi) Basre Ke Bazaar Se Guzre Rahe They! To Logon Ne Aapki Khidmat Me Haazir Hoker Arz Kiya –
 Huzoor"; Quraan Me Allah Ta’aala Ne Farmaya Hain Ki Tum Mujhse Dua Maango Main Kabul Karuga!!
 Hum Ek Muddat Tak Dua Maangte Rahe Hain Magar Kubul Nahi Hoti! Iski Kya Wajah Hain? Hazrate Ibrahim Bin Adham (Rehmatullah Alaihi) Ne Jawab Diya K
☆Aye Logon! Tumahra Dil 10 Cheezon Se Murda Hogaye Hain! Fir Tumahri Dua Kaise Kubul Hogi?
☆(1) Tumne Allah Ko Pehchana Magar Uski Maarfat Ka Haq Ada Na Kiya!
☆(2) Tumne Quraan Padha Magar Usper Amal Nahi Kiya!
☆(3) Tumne Mohabbat-A-Rasool Ka Daawa Kiya Magar Unki Sunnat Per Amal Na Kiya!
☆(4) Tumne Adawat-A-Shaitaan Ka Daawa Kiya Magar Uski Mukhalifat(Against) Na Ki!
☆(5) Tumne Jannat Ko Chaha Magar Usme Dakhile Ke liye Amal Na Kiye!
☆(6) Tumne Jahannam Se Panaah Maangi Magar Khud Hi Apne Nafs Ko Usme Daal Diya!
☆(7) Tumne Mout Ko Haq Jana Magar Uske Liye Taiyyari Na Ki!
☆(8) Tumne Bhaiyon Ke Aib-Jui Ki Magar Apne Aib Na Dekhe!
☆(9) Tumne Allah Ki Neymatain Khayi Magar Uska Shukr Ada Na Kiya
☆(10) Tumne Murdon Ko Dafan Kiya Magar Ibrat Haasil Na Ki!
(Durratun-Nasiheen, Pg-513)
☆» Sabaq: Apne Jaahir Wa Baatin Ko Paak Aur Saaf Sutra Karke Aur Zubaan Ko Allah Ki Yaad Se Mo-Attar Karke Jo Bhi(Nek) Dua Maangi Jaye Wo Kubul Hoti Hain! Agar Hamari Koi Dua Kubul Na Ho Tou Yeh Hamara Kasoor Hai! .
Admin
Admin

. Welcome to my blog! I'm ISHTIYAQUE SUNDER, the owner and author. Here, I explore the wisdom of Hadith, delve into Islamic teachings, and bridge the gap between faith and science. Join me on this journey of knowledge, where tradition meets modernity, and spirituality aligns with scientific inquiry." if you like my article Share my article |Comment on my article | hit LIKE also | Thank you

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

You May Also Like

loading...